Mayi ka lal..

Wo bhi tha beta aek mayi ka..
Hamari tarah pala bada tha wo..
Mayi ke anchal ne sambhala usay..
Acha bura sab bataya usay..

Aek taraf tha beta aek Mayi ka..
Jo nikal pada tha Himalaye ko..
Dusri taraf tha beta aek Mayi ka..
Jo nikal pada tha Janat ko..

Aek tha meri Ma ka rakshak..
To dusra meri Ma par hak jata-ta..
Aek taraf tha beta aek farz nibhata..
Dusri taraf tha beta aek atank felata..

Mayi kabhi na sikhati atank..
Har koi Mayi ke lal thay..
Mayi ne na mangi shihadat..
Na mangi thi kabhi aise Janat..

Ma ko kharochnay walay ko,
Kaise Ma ka beta janay deta..
Masumo ko marney walo ko,
Kaise koi khunkar na kehta..

Pehan wardi jo tha nikla Himalaye..
Nahin dikha wo mahino tak..
Pehan wahi wardi wo aya ghar pe,
Par tha wo char kandho par..

Tha wahi bhi beta aek Mayi ka,
Jisne tha mara is Mayi ke lal ko..
Par jhuka nahin aur ruka nahin,
Jab tak mar na dala isnay us khunkar ko…

Nibhaya wachan is Ma ke lal ne apna,
Ma ki raksha ki usne to..
Janat ki talash main jo tha nikla..
Bachaya usike atank se apni Ma ko..

Dono hi taraf thay Mayi ke betay..
Dono na lotay ghar par..
Aek tha pahucha Janat ko..
To dusra dafan hua apni Ma ke anchal main..

Mayi ka sacha beta tha wo to..
Mayi ko diya vachan bhi nibhana tha..
Is janam to hua Ma ke liye to..
Par aglay janam to usay ana tha..

Apni Mayi ko diya vachan nibhana tha..
Apni Ma ko fir khunkar se bhachana tha..
Aur fir apna vachan nibhana tha..
Aur fir apna vachan nibhana tha..!!

 

 

 (Ma represents Mother Earth/India and Mayi represents Mother)

This my dedication to all the soldiers who leave their mother and family behind to protect us from the wrath of external forces and terrorists..

Comments are closed.

Blog at WordPress.com.

Up ↑